Tuesday 15 August 2017

Actor Kaise Bane ☆

Acting Karna Aaj-kal fashion sa ho gaya hai. Lekin idhar udhar acting karne me aur professional acting career banane me bahut fark hota hai. Actor to bahut log ban jaate hai par ek safal Abhineta banne ke liye liye sache dil se atoot mehnat karni padti hai, jo har insan nahi kar pata, ye ek aisi line hai jisme success paane ke liye dar dar bhatakna padta hai, bahut se utar chadhav dekhne padte hai aur fir khi ja kar career ka kuch banta hai, ye bhi possible hai ki lakh kosish karne ke bavjood bhi Successful actor banne ka dream nhi achi eve ho paaye. Ek actor ki zindgi ka matlab hai, lagatar kosish.

Halanki, acting me ye mayne nahi rakhta ki aapka rang gora hai ya saanwala, lekin ye jaroor mayne rakhta hai ki aapki stage presence kitni achi hai. Aap apni audience ko kaise apne acting ke dum par rula sakte ho, hasa sakte ho, unme jajbaat bhar sakte ho, unhe gussa dila sakte ho.

Agar maan le aap me ye sab karne ki takat hai, aur aapko lagta hai ki aapki acting se aap kisi ko bhi apna deewana bana sakte ho to Ab sawal ye uth raha hai ki shuruwat kahan se ki jaye. Is article me hum aapko `Ek actor banne ke liye kya kya karna padta hai` detail me bta rhe hai.

Actor Banne Ke Liye Kya Kare

Har safal actor ka rasta alag alag hota hai, agar koi ye soche ki jo aaj ke ek safal actor ne kiya tha successful hone ke liye main bhi vhi same same karta hu to main bhi safal ho jaunga to ye Bevkoofi hogi. Har insaan ko Successful banne ke liye apna rasta khud banana padta hai. Isliye kisi ko copy karna sabse pahle band kar de aur apne raste khud banaye. Jaisa ki humne upar baat ki, bahut se log actor banne ka sapna dekhte hai par safal sirf gine chune log hi ho paate hai, aisa isliye hota hai ki bahut se logon ko ye hi nhi pata chal pata ki, Actor banne ke liye starting kha se ki jaaye. Halanki sabke raste alag hote hai par kuch cheeze aisi hai jo har kisi ko ek acha actor ya acting line me safal hone ke liye karni hi padti hai. Vo kya hai, aayiye hum aapko batate hai..

☆ Acting Training

Acting karne ke liye ye jaruri nahi hai ki aapne koi degree leni hai ya kisi top acting school se padhayi karni hai, actor banne ke liye insaan me natural acting talent to hona hi chahiye. Lekin natural acting ko stage par dikhana ek bahut challenging kaam hota hai. Aur is kaam me aapki help karte hai acting schools aur Theatre shows.

Agar aap koi acting school join karte hai to vha par aapki acting skills ko aur nikhara jaata hai, jisse aapke success hone ke chances badh jaate hai, lekin agar aap aisa koi institute ya school join nhi kar sakte to tension lene waali baat nhi hai. Main baat hai aapme, apne aap ko actor banane ke liye junoon aur pagalpan hona chahiye.

Anginat actor aise hai jinhone apne acting ke dum par safalta ki nyi kahani likhi aur vo kabhi kisi acting school nhi gaye. Par iska matlab ye bhi nhi hai ki acting school jaana, time waste hai. Agar aap acting school ja sakte hai to jarur join kare aur agar nhi jaa sakte hai to aapko ek acha theatre group join kar lena chahiye, jaldi se jaldi. Theatre me lagatar bahut se Stage Plays hote rahte hai aur aapko unme acting karne ka mauka milega, aap logon ke saamne real me acting kar payenge, apne skills ko aur improve kar payenge aur yakeen maniye, agar aap stage par successful ho jaate hai to camera ke saamne bhi jarur safal honge.

Note : Agar kisi insan ko lagta hai ki, Theatre waale to faltu ke shows karte rahnte hai, kabhi Nukkad natak to kabhi kuch kabhi kuch aur karte rahte hai, aur theatres me acting ke alawa volunteer (स्वयंसेवक) waale kaam bhi karne padte hai.. main vo sab nhi karna chahta, main to direct film me acting karunga ya TV par acting karunga, to unke liye dukh ki baat hai, aisa sirf tab hi ho sakta hai jab unke Baap ke paas paise ki koi kami na ho.

☆ Acting Resume

Resume hona kisi bhi Actor ki real personality to nahi show karta lekin ye ek ache or professional person ki nishani hai. Aapko apne aane waale career me kaafi hurdles ka samna kar pad sakta hai. Aapka resume aapko hamesha ye yaad dilata rahega ki aapki kabiliyat kya hai, aapko kahan jana hai, aapke skills me kya kami hai.

Aapka resume aapka sabse important saathi hota hai, especially struggle ke time me. Resume hi aapka introduction director, producers aur casting team ko deta hai. Agar aapka resume best hai tab chances hote hai ki aapko aage badhne ka mauka mile aur aapko Audition ke liye bulaya jaaye, isliye kabhi bhi Resume ko banate waqt kuch bhi faltu ya kam na likhe. Resume Black & White hona chahiye ya colored is baat ke bhi bahut se mayne hote hai.

Ab baat karte hai, ek Actor ke resume me kya kya hona jaruri hai..

Professional Name : Ye aapka stage name ya aapka rea name bhi ho sakta hai. Ye vo naam hoga jisse aapko industry me jaana jayega isliye ek acha sa naam chune aur fir usi naam ke saath apne sab acting and professional kaam kare. Baar baar naam na dalne.
Union affiliations (Agar koi hai to) : Ye bahut important hai. Agar aap kisi acting union ke member ho to ye is baat ki guarantee deta hai ki aap achi acting kar sakte hai, because vo kisi bakwaas actor ko apne saath nhi jodte

Contact Information : Resume me Aapka contact information bilkul shi honi chahiye.

Work History : Aapne kin main main plays me, TV me, ya movies me acting ki hai is baare me puri jaankari de. Har chote chote plays ya stage performance ke baare me likh kar sheet bharne ki jarurat nhi hai, bas main main points ko add kare.

Professional Training : Agar aapne khi se acting ki training li hai to vo apne resume me jarur mention kare. Fir chahe vo training acting, voice, improv, dialects (accents) ya physicals skills jaise ki dance, acrobatics ya boxing ki ho.

List All Skills : Aisi koi bhi cheez jo aap kar sakte hai aur vo acting line me useful ho sakti hai, use resume me jarur add karna chahiye. Jaise ki… Agar aap acha Dance karte hai ya aap aankh band karke target par chaku fek sakte hai. Agar aap jaldi weight gain aur weight loss kar sakte hai to vo bhi bataye. Even if you are able to sing the alphabet backwards while balancing on a plate—include it! kahne ka matlab hai aisi koi bhi cheez jo aapko dusron se alag banati hai vo resume me jarur honi chahiye.
Personal Information : Apni age (required if you are a minor), apni height (without shoes) aur apna weight ki information bhi include karni chahiye. Apna hair color aur eyes color bhi jarur mention karna chahiye.
Try kare ki aapka resume ek page ka ho, aur chahe kuch bhi ho jaaye 2 pages se jyada kisi bhi haal me nhi hona chahiye. Agar aap 4-5 pages ka resume bana ke dete hai to possible hai vo use dekhe bhi na, isliye short, useful and exact information hi resume me add kare.

☆ Photoshoot & Portfolio

Professional photographer se apna photoshoot jarur karwaye. Aapke paas alag alag pose ki photos hamesha saath rahni chahiye, apne resume ki tarah. Kyunki director agar aapke baare me kisi ke liye sochte hai to vo aapki photos ko jaroor dekhna chahega, vo ye janna chahega ki aap Camera ke dusri taraf kaise dikhte hain or kitne comfortable rahte hain. Is Photo shoot ko portfolio ke name se bhi jaana jata hai. Jab bhi aap kisi Audition ke liye jaoge wo aapse aapka portfolio jaroor mangenge. Portfolio karate time ye dhayan rakhna ki aapki looks ke saare ache hero waale or Villain waale looks bahar aa jaaye. Isse directors ko bohat aasani hogi ye pata lagane mai ki aap uske project ke role ke liye perfect hain ya nahi.

☆ Modelling

Agar aap ek aise event me modeling karte hai jis par bade bade producers, directors ki najar rahti hai to kon jaane vo aapke kis ada se impress ho jaaye aur aapko apne next project me lene ka man bana le, aaj ke bahut se star actors modelling ki duniya se hi acting me aaye hai, isliye jab modelking ka mauka mile chodna mat.

☆ Advertising Agency

Achi aur reputed Ad Agency se contact kare aur unke saath jud jaaye. Vo aapko ads me acting karne ka mauka de / dilwa sakte hai jisse aapki acting duniya ke saamne bhi aayegi aur aapko apni acting ke dum par paise bhi milne shuru ho jayenge. Lekin dhyaan rahe kisi Fraud Agency ke saath ja jude taaki vo aapke career ke saath kuch galat na kar de.

Aapka konse Acting Agents or Project person se link hai, ye baat bahut mayne rakhti hai. Agents ka direct link hota hai professional Acting management ke saath, Wo aapko batayega ke aap kahan par sahi fit honge or wahi aapke links bade celebs ke saath bhi banayega. Jitne aapke links honge utne hi aapke chances acting career me badhte hai chale jayenge. Ache links hona ek Ache actor ki nishani hai. Aapko khud bahut kuch pata lagta rahega jaise jaise aap new celebs or Directors se meet karoge.

☆ Practice, Practice & Practice Some More

Acting line me had se jyada competition hai, isliye aapko hamesha taiyar rehna hoga. Aapki Acting me study level bahut acha chaiye. Aapko dialogues yaad karna or unhe apne dimag me achi tarah dhal dena padega. Ye sab aap sirf padh kar bhi nahi kar sakte ho isliye aapko practical hona padega or real life ki tarah practice karni padegi. Jaise jaise aap practice karenge aapke andar aur confidence aata jayega vo positive attitude ke liye behad jaruri hai.

☆ Auditions

Auditions are very important to grow in the acting life. Isliye jitne jyada se jyada auditons de sakte hai dete rahe. Iske bina acting line me aap kuch bhi achieve nhi kar sakte. When you go for an audition make sure that you give you 100% and don’t feel any nervousness. Sheeshe (mirror) ke samne apne character ki practice kare. Dhyaan de ki aap jo bol rahe hai vo saaf aur itna loud ho ki aasani se samajh aa jaaye.

☆ Maintain Your Looks : Take Care of Skin, Looks & Style

Personality ko maintain rakhna bahut hi jaruri hai or looks me changes laate rehna chahiye. Jitna aap different personalities ko samjhoge utna hi aapka confidence or experience badhega.

Apne looks ko improve karna acting line me bahut important hai, kuch cheeze hoti hai jinka acting career me bahut jyada importance hota hai, isliye regular Work Out kare, Acha khaye aur achi personality banaye.

In sab ke baad jo cheez aati hai vo sabse upar hai, aur vo hai X – Factor. Ye vo cheez hai jo insaan me khud hoti hai, jise seekhna nhi ja sakta aur chupaya bhi nhi ka sakta. Isi factor se aap aisi cheez karne me safal hote hai jo sirf aap kar sakte hai aur koi nhi. Ye vo cheez hai vo aapme hai to Audience aapki tareef jarur karegi aur aap safalta hasil karenge.

Mehnat karte rahe, kyunki bade sapne dekhne waalon ko bade bade challenges bhi face karne hi padte hai. Apna 100% apne dream ko sach banane me laga de. Safalta jarur milegi, bas mehnat sahi direction me ki jaane ki jarurat hai.